Tamaashai bane rahiye tamaasha dekhte rahiyeYahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye
Waqt kis tezi se guzra roz-marra me 'Muneer'Aaj kal hota gaya aur din hawa hote gaye
Ek mehfil me kayi mehfilein hoti hain shareekJis ko bhi paas se dekhoge akela hoga
Dil aabaad kahaan reh paaye us ki yaad bhula dene seKamra veeraan ho jata hai ik tasveer hata dene se
Raste me mil gaya to shareek-e-safar na jaanJo chhanv meharbaan ho use apna ghar na jaan
Ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabeinIk shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
Sair kar duniya ki gaafil zindagaani fir kahaanZindagi gar kuch rahi to ye jawaani fir kahaan
Wo shakhs soorma hai magar baap bhi to haiRoti khareed laya hai talwaar bechkar